Hawa Ki Lehar Koi Cho K Mere Yaar Say Aai

Hawa Ki Lehar Koi Cho K Mere Yaar Say Aai
Koi Taaza Khabar Youn Samundar Paar Say Aai

Laboun Say Kam AUr Aankhoun Say Bohat Karta Hay Woh Baatain
Balaaghat Us Main Yeh Pabandiy-e-Izhaar Say Aai

Woh Uski Guftago,Kaliyan Chataknay Ki Sadaa Jaisay
Yeh Narmi Us K Lehjay Main Hamaray Payaar Say Aai

Kashish Rakhta Nahein Ab Phool Mere Waastay Koi
Kah Mujh Tak Har Mehak Us Zulf-e-Khushboodar Say Aai

Yahan Hay Jo Bhi Yousuf,Khud Zulaikhaoun Ka Gaahak Hay
Riwayat Yeh Nayi Kaya Janay Kis Bazaar Say Aai

Woh Ek Maghroor Si Larki,Khushi Jis Ka Takhallus Hay
Mere Paas Aa Gayi lakin Baray israar Say Aai

Andhairoun Nay Qateel Aksar Usi Deewar Say Jhanka
Utar Kar Dhoop Mere Ghar Main Jis Deewar Say Aai

اردو میں پڑھیں

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.