یہ معجزہ بھی محبت کبھی دکھائے مجھے – قتیل شفائی by QateelShifai
یہ تیرا پھول سا چہرہ – قتیل شفائی by QateelShifai
فلم : آدمی (1978) ۔۔ موسیقار : ایم اشرف
گلوکار : مہدی حسن ۔ شاعر: قتیل شفائی
یہ تیرا پھول سا چہرہ – چہرے پہ زلف کا سہرا
مہک تیرے بدن کی ہواؤں میں فضاؤں میں رچی ہے
عکس تیرا جو مصور کو بنانا آتا
دیکھنے اس کو میری جان زمانہ آتا
جہاں میں دھوم تیرے حسن کی ہے
پھول کے دھوکے میں دل تجھ سے لگا بیٹھے گا
آج بھنورا تیرے رخسار پہ آ بیٹھے گا
تیرے جلوؤں میں ایسی دلکشی ہے
چاند سورج کی تمنا نہیں رکھتا ہے یہ غلام
اپنے جلوؤں کی کرن ہی کوئی کر دے میرے نام
بدن تیرا سراپا روشنی ہے
Yeh Tera Phool Sa Chehra – Chehray Pah Zulf Ka Sehra
Mehak Tere Badan Ki Hawaoun Main Fazaoun Main Rachi Hay
Aks Tera Jo Musawwar Ko Banana Aata
Daikhnay Usko Meri Jaan Zamana Aata
Jahan Main Dhoom Tere Husan Ki Hay
Phool K Dhokay Main Dil Tujh Say Laga Baithay Ga
Aj Bhanwra Tere Rukhsaar Pah Aa Baithay Ga
Tere Jalwoun Main Aisi Dilkashi Hay
Chand Sooraj Ki Tamana Nahein Rakhta Hay Yeh Ghulam
Apnay Jalwoun Ki Kiran Hi Koi Kar Day Mere Naam
Badan Tera Sarapa Roshni Hay
Film: Aadmi – Musician: M Ashraf
Singer: Mehdi Hassan .. Poet: Qateel Shifai
سنا ہے محبت کا پیاسا ہے تو – قتیل شفائی by QateelShifai
سنا ہے محبت کا پیاسا ہے تو
محبت کھڑی ہے تیرے سامنے
خیالوں کے پیچھے نہ بھاگ اے صنم
یہ مانا حسیں تجھ سا کوئی نہیں ہے
تجھے چاہتا ہے زمانہ
ذرا اس کی چاہت پہ بھی غور کرلے
تجھے زندگی جس نے جانا
خریدار جو ہے تیرے پیا رکی
وہ دولت کھڑی ہے تیرے سامنے
محبت کھڑی ہے تیرے سامنے
جہاں مسکرائیں تیری آرزوئیں
وی جنت ہے میری جوانی
یہ دیتی ہے ٹھنڈک نگاہوں کو پھر بھی
قیامت ہے میری جوانی
قیامت الگ چیز کوئی نہیں
قیامت کھڑی ہے تیرے سامنے
محبت کھڑی ہے تیرے سامنے
اجالے ترسیں ہیں میری جبیں سے
مزا مجھ میں ہے چاندنی کا
میرے گیسوؤں کی گھٹاؤں میں تجھ کو
ملے گا سکوں زندگی کا
کوئی اور تجھ کو نہ جو دے سکے
وہ راحت کھڑی ہے تیرے سامنے
خیالوں کے پیچھے نہ بھاگ اے صنم
حقیقت کھڑی ہے تیرے سامنے
فلم: آدمی ۔۔موسیقار : ایم اشرف
گلوکارہ : ناہید اختر ۔۔ شاعر: قتیل شفائی
Aakhir Woh Mere Qadd Ki Bhi Hadd Say Guzar Gaya
Kal Shaam Main To Apnay Hi Saaye Say Darr Gaya
Muthi Main Band Kiya Hua Bachoun K Khail Main
Jugnoo K Saath Uska Ujala Bhi Mar Gaya
Kuch Hi baras K Baad To Us Say Mila Tha Main
Daikha Jo Mera Aks To Aaina Dar Gaya
Aisa Nahein Kah Gham Nay Barha Li Ho Apni Umer
Mosam Khushi Ka Waqt Say Pehlay Guzar Gaya
Likhna Mere Mizaar K Katbay Pah Yeh Huroof
Marhoom Zindagi Ki Harasat Main Mar Gaya
~* Girya-e-Mussarat *~
Ahbaab Say Chup Chup K Bhi Roya Houn Main Aksar
Par Aaj Bhari Bazm Main
Ronay Ka Maza Aur Hi Kuch Hay
Ahbaab Ko Hairat,Kah Mere Qehqaha Bardaar Laboun Per
Kuin Lay Gayein Sabqat Meri Bheegi Huin Palkain
Mere Taptay Huay Aansoo
Shayad Mere Ahbaab Ko Maloom Nahein Hay
Izhaar-e-Mussarat Kabhi Hota Hay Jo Ro Kar
So Baar Ka Hansna Bhi Usay Choo Nahein Sakta
Aansoo Hain Woh Moti
Palkoun K Sadaf Say Jo Nikaltay Hain Usi Dam
Jab Dil K Samundar Main
Khushi Ka Koi Toofan Bapa Ho
Toofan Sama Sakta Nahein Sirf Hansi Main
Aansoo Hi Usay Apni Tarawat Main Samaitain To Samaitain
Aansoo Kah Jisaamat Main Hain Qatray Say Bhi Kuch Kam
Izhaar-e-Mussarat Main Samundar Say Baray Hain
Bay Hiss Mere Ahbaab Hain
Kaash Unko Bataye Koi Hamdam
Haasill Jo Khushi Aaj Hui Hay Mere Dil Ko
Shayad Woh Tabbasum Main Samaiti Hi Nah Jaati
Hountoun Pah Tabassum Bhi Bohat Khoob Hay lakin
Aankhoun Main Tarshah Ki Fiza Aur Hi Kuch Hay
Barsaat Main Rim Jhim Ki Sada Aur Hi Kuch Hay
Is Bazm Nain Ronay Ka Maza Aur Hi Kuch Hay
Roka Hay Tou Nay Jis Ko Sada Arz-e-Haal Say
Hijrat Woh Kar Gaya Tere Shehr-e-Wisaal Say
Woh Mar Gaya Jab Uski Sakoonat Badal Gayi
Jeevan Say Barh K Payar Tha Panchi Ko Daal Say
Bandh’wa Raha Tha Jo Mere Paoun Main Bijliyan
Aagay Barha Nah Khud Woh Had-e-Aitdal Say
Thi Aisi Bay’Khudi Kah Jab Aaya Woh Saamnay
Mafhoom Gir Gaya Mere Dast-e-Sawal Say
Tha Main Bhi Hukmaraan Kabhi Aqleem-e-Husn Per
Kuch Lay Sabaq Raqeeb Mere Hi Zawaal Say
Barsoun Chalay Qateel Zamanay K Saath Ham
Waaqif Huay Nah Phir Bhi Zamanay Ki Chaal Say
Apnay Laboun Ko Dushman-e-Izhaar Mat Bana
Sachay Hain Jo Unhi Ko Gunehgaar Mat Bana
Dil Ko Duba Duba K Nah Rakh Dharkanoun Talay
Bay’chainioun K Lutf Ko Azaar Mat Bana
Jitnay Bhi Lafz Hain Woh Mehaktay Gulaab Hain
Lehjay K Farq Say Unhain Talwaar Mat Bana
Tark-e-Wafa Ka Jurm Nah Maanay Ga Tou Nah Main
Is Mas’alay Ko Baais-e-Takraar Mat Bana
Ilzaam Kuch To Gardish-e-Ayyam Ko Bhi Day
Apnay Har Aik Gham Ko Gham-e-Yaar Mat Bana
Aa Mere Baazoun Main Kah Saahil Pah Jaa Lagain
Is Moaj Moaj Waqt Ko Manjhdaar Mat Bana
Tera Yeh Zabt,Aur Woh Shola Sa Aadmi
Sooraj K Aagay Moam Ki Deewar Mat Bana
Shaayad Woh Tere Mounh Pah Hi Sach Bolnay Lagay
Chehray Ko Aainay Ka Paristaar Mat Bana
Har Aik K Liye Nah khula Rakh Isay Qateel
Yeh Dil Hay Aik Ghar isay Bazaar Mat Bana
Mairaaj-e-Nazar
Yaad Aaye Khaaliq-e-Husn-o-Jamal
Koi Chehra Khoubsoorat Daikh Kar
Zindagi Sona Dikhai Day Hamain
Sirf Ek Matti Ki Moorat Daikh Kar
Daro Us waqt Say
Ae Shayaro,Ae Nagma Khwano, Ae Sanam Saazo
Achanak Jab Tumhari Simt
Kuch Sadioun Puranay Sheesh Mehloun Say
Sana San Teer Barsain Gay
Bohat Chil’lao Gay Tum
Aur Pukaro Gay Bohat Ba’zouq Dunya Ko
Magar Ba’zauq Dunya Ka Har Ek Baashinda
Pehlay Hi Say Ghayal Ho Chuka Ho Ga
Jo Baqi Loag Houn Gay
Woh Tumhara Saath kab Dain Gay
Kah Woh To Rajj’aatoun Ki Heeroin Peenay K Aadi Ho Chukay Houn Gay
Unhain To Sirf Woh Baatain Bhali Maaloom Houn Gi
Jahalat Ka Andhera Aur Bhi in Ragoun Main Jin Say Bhar Jaye
Woh Baatain—–
Aql-o-istadlaal Ka Ek Shaaiba Jin Main Nahein Hota
Yeh Maana Tum Bohat Samjhao Gay Unko
Magar Koi Nah Samjhay Ga
Aur is Doar-e-Sayahi Main
Jo Barpa Karbala Ho Gi
Wahan Koi Bhi Hurr Paida Nahein Hoga Tumhari Paas dari Ko
Milain Gay Sab Tumharay Khoon k Payasay
Daro Us Waqt Say
Ae Shayaro,Ae Nagma Khwano, Ae Sanam Saazo
Jo Mumkin Ho To Barh Kar Rok Lo
Us Aanay Walay Waqt Ka Rasta
Sehraoun Main Ek Chaoun Si Bikhrati Rahay Gi
Rutt Koi Bhi Ho,Zulf Woh Lehrati Rahay Gi
Tum Cheen To Lo Gay Mere Saawan Ki Ghatain
Awaaz Pappihay Ki Magar Aati Rahay Gi
*Pappihay = Koyl Ki Tarah Ka Parindah Magar Us Say Chota
Jaata Raha Khwaboun Main Khalal Daalnay Waala
Ab Din Main Bhi aksar Tumhain Neend Aati Rahay Gi
Bakhshay Gi Nah Usko Koi Sooraj Ki Adaalat
Yeh Raat Sitaroun Ki Qasam Khaati Rahay Gi
Kuch Zabt Nah Kar Paayen Gay Ushaaq Bhi Tere
Kuch Soort-e-Haalaat Bhi Jazbaati Rahay Gi
Sehra Ko Nah Choaray Ga Kabhi Shehar Ki Khaatir
Dunya Tere Deewanay Ko Samjhati Rahay Gi
Tujh Per Bhi Qateel Aan Pari Jab Koi Uftaad
Sab Zinda Dili Yaar Teri Jaati Rahay Gi