Ao Koi Tafreeh Ka Samaan Kya Jaye
Phir Se Kisi Waiz Ko Pareshan Kya Jaye
Be Laghzish-e-Pa Mast Hon Unn Aankhon Se Pi Kar
Yun Muhtasib-e-Shehar Ko Heran Kya Jaye
Har Shai Se Muqaddas Hai Khayalat Ka Rishta
Kyun Mas’leh’ton Par Usay Qurbaan Kya Jaye
Muflis K Badan Ko Bhi Hai Chadar Ki Zaroorat
Ab Khul Ke Mazaron Pay Yeh Elaan Kya Jaye
Aghyar Ke Hathon Mein Hon Jis Mulk Ki Bagain
Mazool Har Us Malik Ka Sultan Kya Jaye
Woh Shakhs Jo Deewano Ki Izzat Nahi Karta
Us Shakhs Ka Bhi Chaak Geraibaan Kya Jaye
Pehlay Bhi Qateel Aankhon Ne Khaye Kayi Dhokay
Ab Aur Nah Benaye Ka Nuqsaan Kya Jaye
Qateel Shifai