Ab Aur Tab !
Kaha Us Nay______
Mujhay Tab Waqai Tum Say Muhabbat Thi
Kaha Main Nay________
Mujhay To Aaj Bhi Tum Say Muhabbat Hay
Woh Tab Ki Baat Karti Hay
Main Ab Ki Baat Karta Houn
Magar Jo Faasla Tab Aur Ab K Darmiyaan Haayal Hay
Woh Ham Say To Mil Kar Bhi Samaita Ja Nahein Sakta
Woh Ab Tak Aa Nahein Sakti
Main Tab Ko Paa Nahein Sakta
Category Archives: Books
Jab Say Aaya Hay Tere Payaar Ka Mosam Janaan
Jab Say Aaya Hay Tere Payaar Ka Mosam Janaan
Dil Main Rehti Hay Lagataar Chama Cham Janaan
Zakhm Jo Tum Nay Diye Unka Sandaisa Yeh Hay
Bhaijna Ab Nah Khudara Koi Marham Janaan
Jal Rahay Thay Meri Palkoun Pah Jo Yaadoun K Chiraagh
Ab To unki Bhi Lawain Ho Gayein Madham Janaan
Ruk Gaye Saans Bicharnay Ki Ghari Jab Aai
Dil Magar Phir Bhi Dharakta Raha Paiham Janaan
Baandh Loun Main Bhi Teri Yaad K Ghungharo Lakin
Raqs Karna Bhi Tarapnay Say Nahein Kam Janaan
Tou Nay Chora Nah Kisi Radd-e-Amal K Qaabil
Ab Mera Shair,Nah Shola Hay, Nah Shabnam Janaan
Jaanay Kaya Tujh Say Hui Baat Kah Gum Sum Hay Qateel
Ab Tera Naam Bhi Laita Hay Woh Kam Kam Janaan
jab kisi jaam ko honton se lagaya mein ne
jab kisi jaam ko honton se lagaya mein ne
raqs karta howa dekha tera saaya mein ne
mujh se mut pooch mere mohtasib-e-sheher se pooch
kiyoon teri aankh Ko paimaana banaaya mein ne ?
loog kehte hein qasida woh tere husn ka tha
aam sa geet jo mehfil mein sunaya mein ne
maikada band tha laikin joon hee garja baadal
apni tauba ko chatakhta howa paya mein ne
shair-o-naghmaat ka rishta kabhi toota na qateel
…!jab ghazal bun ke woh aaya usay gaaya mein ne
Dil Laga Baitha Houn Lahore K Hangamoun Say
Dil Laga Baitha Houn Lahore K Hangamoun Say
Payar Hay Phir Bhi Hari Pur, Teri Shaamoun Say
Kabhi Aandhi,Kabhi Shola,Kabhi Naghma,Kabhi rang
Apna Maazi Mujhay Yaad Aayee Kayi Namoun Say
Aik Woh Din Kah Binaan Deed Tarap Jatay Thay
Aik Yeh Din Kah Behal Jatay Hain Paighamoun Say
Jab Mere Haath Pah Kaantoun nay Diya Tha Bosa
Woh Mera Pehla Taaruf Tha Gul indamoun Say
Jaan-o-Dil Day k Muhabbat K Khareedar Banay
Yeh Khari Cheez To Milti Hay Kharay Daamoun Say
Choar Bazaar Main Biknay Nah Pohanch Jayen Kahein
Jins-e-Emaan Ko Nikalwaiye Godamoun Say
Pairwi Hazrat-e-Ghaalib Ki Hui Nisf Qateel
May To Milti Nahein Ragbat Hay Faqat Aamoun Say
Kashish-e-Jamal
Kashish-e-Jamal
Qadam Qadam Pah Kayi Khush Jamal Hain Lakin
Kisi Main Baat Kahan Mere Mah Jabeen Jaisi
Nigah Jo Bhi Uthay us K Khado Khaal Pah Giray
Kashish Zaror Koi Us Main Hay Zameen Jaisi
Mojzaa
Mojzaa
Bashar K Roop Main Ek Dilruba Talism Banay
Shafaq Main Dhoop Milayen To Uska Jism Banay
Woh Mojzaat Ki Hadd Tak Pohanch Gaya Hay Qateel
Huroof Koi Bhi Likhoun Usi Ka Ism Banay
Woh Saawan Jis Main Zulfoun Ki Ghata Chaai Nahin Hoti
Woh Saawan Jis Main Zulfoun Ki Ghata Chaai Nahin Hoti
Jo Barsay Bhi To Sairaab apni tanhaai nahin hoti
Janaab-e-Ishq Kartay Hain Karam Kuch Khaas Logoun Par
Har Insaan K Muqadar Main To Ruswaai Nahin Hoti
Samundar Pur Sakoon Hay Is Liye Gehra Bhi Hay Warna
Machalti Nadiyoun Main Koi Gehraai Nahin Hoti
Yeh Waaiz Hay, Nahin Taqreer Main Rakhta Jawaab Apna
Magar Is Shakhs Ki Batoun Main Sachai Nahin Hoti
Jahan Saaqi Ki Aimaa Par Koi Kam Zarf Aa Baithay
Wahan Khush Zauq Rindoun Ki Pazeerai Nahin Hoti
Kabhi Chehray Badal Karr Bhi Yahan Kuch Log Aatay Hain
Kabhi Kuch daikhti Aankhoun Main Baynaai Nahin Hoti
Qateel Aksar Yeh Daikha Hay Kisi Muflis K Aangan Main
Baraat Aaye To Us K Saath Shehnaai Nahin Hoti
Qateel Us Shakhs Ka Kya Wasta Mere Qabeelay Say
Wafa K jurm Main Jis nay Saza Paai Nahin Hoti
Hawa Ki Lehar Koi Cho K Mere Yaar Say Aai
Hawa Ki Lehar Koi Cho K Mere Yaar Say Aai
Koi Taaza Khabar Youn Samundar Paar Say Aai
Laboun Say Kam AUr Aankhoun Say Bohat Karta Hay Woh Baatain
Balaaghat Us Main Yeh Pabandiy-e-Izhaar Say Aai
Woh Uski Guftago,Kaliyan Chataknay Ki Sadaa Jaisay
Yeh Narmi Us K Lehjay Main Hamaray Payaar Say Aai
Kashish Rakhta Nahein Ab Phool Mere Waastay Koi
Kah Mujh Tak Har Mehak Us Zulf-e-Khushboodar Say Aai
Yahan Hay Jo Bhi Yousuf,Khud Zulaikhaoun Ka Gaahak Hay
Riwayat Yeh Nayi Kaya Janay Kis Bazaar Say Aai
Woh Ek Maghroor Si Larki,Khushi Jis Ka Takhallus Hay
Mere Paas Aa Gayi lakin Baray israar Say Aai
Andhairoun Nay Qateel Aksar Usi Deewar Say Jhanka
Utar Kar Dhoop Mere Ghar Main Jis Deewar Say Aai
IQRA
IQRA
Payambar Say Kaha Jibraeil Nay:
Iqra
Payambar Nay Kaha:
Main Parh Nahein Sakta
Magar Us Lamha-e-Noor-o-Tajjali Ka Nateeja Tha
Kah Ek Ummi Woh Aalim Ban Gay
Rooy-e-Zameen Par Jis Say Barh Kar
Koi Bhi ilm-o-Baseerat Ka Nah Maalik Tha
Yahein Tak Khatam Ho Jata Nahein Yeh Silsila ilm-o-Baseerat Ka
Payambar k Ghulamoun Tak Nay Paayi Roshni
Ilm-o-Baseerat Ki
Ujala Ho Gaya Mashhriq Say Maghrib Tak
Kaha Mere Zamnay Say Guzartay Waqt Nay
Iqra
Kaha Mere Zamanay Nay
Mujhay Parhna To Aata Hay
Magar Main Bhool Jana Chahta Houn Saray lafzoun Ko
Aur in Lafzoun Main Poosheeda Har Ek ilm-o-Baseerat Ko
Kitabain Gharq-e-Darya Kar Kay itmeenan-o-Raahat Chathta Houn Main
Kah Ab Aisa Hi Karna Chahye Mujh Ko
Guzartay Waqt Nay Poocha Bhal Kuin?
Kaha ilm-o-Baseerat Aur Kutab Khanay Mere Kis Kaam K
Jab Har Chorahay Per
Buland Awaaz Loud Spekaroun Say Woh Sabhi Kuch Nashar Hota Hay
Nafi Hoti Chali Jati Hay Jis Say Dam Badam ilm-o-Baseerat Ki
Phir is K Saath, Sachi Baat To Yeh Hay
Nah Main Koi Payambar Houn,Nah Tou Kou Farishta Hay
Main Teri Baat Kuin Manoun??
Kuch Raahtoun Ki Khoaj Main Aai Thi Zindagi
Kuch Raahtoun Ki Khoaj Main Aai Thi Zindagi
Daikha To Ek Lahad main Samai Thi Zindagi
Kaya Kaya Nah Aik Shakhs Nay Rakhi Sambhal Kar
Maloom Ab Hua Kah Parai Thi Zindagi
Ho Jaye Raiza Raiza Lagay Jab Zara Si Thais
Kaya Soch Kar Khuda Nay Banai Thi Zindagi
Tha Dushmanoun K Waastay ibrat Ka Yeh Muqaam
Kaandhay Pah Dostoun Nay Uthai Thi Zindagi
Waapis Gayi Adam Ki Taraf Khaak Oarh Kar
Saansain Pehan K Dahar Main Aai Thi Zindagi
Urta Hua Woh Aik Parinda Hay Ab Kahan
Apnay paroun Pah Jis Nay Sajayi Thi Zindagi
Daikha Qamar Khana-e-Hasti Main Jab Qateel
Daao Pah Har Bashar Nay Lagai Thi Zindagi
(Dr. Yousuf Ki Rehlat Per)